ANJANAY RASTON PER
hina k college se nikalty hi us kay chehray pe aik khubsoorat si muskrahat aa gai q k us ne
hina ko pooray 2 din baad daikha wo light pink shalwar qameez main buhat khoobsoorat lag rai thi us ki baalon ki layer cutting buhat jach rai thi us k lambay kalay baalon ki shareer littain us k surkh rukhsar ko choo rai thin. lamba sa dopatta hawa se urta ja raha tha . Ahmar to aik pal kay liye sakat hi ho gaya us ko lag raha tha k waqt tham k us k hath main aa gaya ho.
yak dam hina ne apnay urtay hoy dupattay ko sumbhala to ahmar is khoobsoorat lamhay se bedaar hua or apni new model bike start kr di.
ye ahmar ka roz ka mamool tha k jab tak hina apnay gher main dakhil na ho jati wo us k peechay aata 20 ki speed pe wo usay taktay jata jesay us ki rakhwali kr raha ho.
ahmar momal ka bara bhai tha jis ki umar 22 saal thi . momal apnay bhai se 5 saal choti thi ahmar apni behan se buhat pyar karta tha or momal ko bhi apnay bhai se buhat lagao tha
hina aik mazhabi ghranay se talluq rakhti thi or haal hi main sahiwal kay aik middle class town se rawalpindi shift ho gai or girls college main 11 (pre medical) main admission le lia. school late addmission ki waja se us ka kafi zayada syllabus miss ho gaya tha jis ko wo jald az jald complete karna chahti thi wo class main enter hoi to buhat nervous thi saari class ki nazrain new comor pe thin . hina preshani k alam main jaldi jaldi apni seat pe baithnay lagi ka yak dam us ka apna dupatta us k paon k neechay aa gaya or wo lurhakty huy bachi or saari class is sada loh larki ki taraf daikh k hansnay lagi jisay hina ne buhat mehsoos kia. or wo roni si soorat bna k apni seat pe chal di.
The Essay on The Main Thesis Of This Paper Is To Focus On
The main thesis of this paper is to focus on the narration: style of the story and analyze the impact on the narration on the reader. In two Hemingways stories: The Indian Camp and Old Man at the Bridge. Indian camp and Old Man at the Bridge are ones of Hemingway's his early short stories, which, like all the following, are the reflection of reality. They makes the reader to associate himself with ...
class time khatam honay pr tmam larkian cafe ki taraf chal din. or kisi ne apni new class fellow ko apnay sath chalnay ko nai kaha.
hina ne preshani k alam main gala khankar kr apni class fellow gul ko mukhatib kia.
hina : Excuse me please aap mujahy previousl lectures k notes de dain
Gul : oh you mis in dupatta ??? class main kehkon ki awaz buland hui……..
kia aap aap lagai hai. ( peeshani pe bal la k)
hina 🙁 preshani main) i am sorry gul mmmain to bus aap se notes mang rrrai tthi…
gul : oh please ….. rasta choro mujhay second class logon se baat karna bilkul pasand nai
hina :(bechari apna sa moun le k baith gai .
hina ronay ko hi thi k momal jo thori door khari tamasha daikh rai thi us k qareeb aai to hina ne jaldi se apni aankhon se chalaktay aansoo rokay momal ne pyar se is ka kandhay pe hath rakha hina ne us ki janib daikha jo usay daikhay muskra rai thi. hina samjhi k ab ye iss ki beizzati karnay aai hai to wo class se janay lagi k momal ne us ka hath pakar lia or kaha
momal : to aap ka name hina hai ? wats a beautiful name
momal : aap mujh se notes mang laitin??
hina college main itni coperative larki daikh ker heraan reh gai q k aj us ka 2nd day tha college main or kisi ne bhi us se seedhay moun baat nai ki thi
hina : shukria
momal : tum kahan se aai ho ?
hina : governement school se
momal : (khush hotay hoye) hmmm
thori dair waqfa k baad
momal : hina aao cafe chalain
hina inkar kay bawjood chal di
cafe puhanch k momal ne chinese rise order kiye jisay hina ne ye keh k mana kr dia k mujhay bhook nai hai
momal ne bhanp lia k ye paison ki waja se mana kr rai hai.
lekin momal ne usay zabardasti khilaya.
thori dair k baad hina ne kaha k aap please mujhay notes de dain to momal ne foran apnay black bag main se notes nikal kr us k hiwalay kr diye.
hina : thanx momal
hina k face pe piyari sin muskan daikh k momal b khush ho gai.
The Business plan on Informal situational analysis – kia motors corporation
An informal situational analysis is being conducted on KIA Motors Corporation to analyse critically the internal and external environment as it concerns KIA so as to determine its capabilities, customers, positioning and competitors within its business environment. It would also involve the marketing and business strategy of the organization, how they align to achieve profitability and/or market ...
gher jatay huye momal ne hina ko apni red porish main baithnay k liye kaha to hina ne mana kr dia k main akeli hi chali jaon gi . momal ne bhi usay zyada force na kia q k aik hi din main usay ye andaza ho gaya tha k ye jis family se talluq rakhti he wo is ka car main aanay main kafi batain karain ge.
ahista ahista dono apna buhat sa waqt aik sath bitanay lagin or dono ki dosti bhi kafi gehri ho gai . koi bhi larki hina ko us ki dressing ki waja se kuch bhi kehti to momal sab ko face karti.
daikhtay hi daikhtay hina ne poray district main top kia…. college awards distribution cermoney main jab usay stage pe apnay izhare khiyalat ka liye bulaya gaya to wo buhat nervous hoi q k us ne kabhi itni bari cermny or itnay baray stage ko kabhi face nai kia tha madam ne us ka name announce kia to wo lurhaktay qadmon k sath stage pe puhanci…
hina : asslamo alikum viewrs aaj meri kamiyabi ki sab se badi waja mere parents hain jo mujhay itnay chotay town se shehar main le k aaye iss k bad mein main apni friend momal ka thankful hon jis ne mujhay support kia.
main jab pehlay din college aai to meri dressing ki waja se mera buhat mazaq uraya gaya lekin mujhay apnay aap pe fakhar hai k main dunyavi ilam hasil karnay k liye apnay mazhab ko nai bholi main pooray libaas main reh k apnay deenvi or dunyavi fraiz saranjam de rai hun. hina ka itna kehna tha k sara hall tlaiyon se gonj utha
per kuch logon ko us ki ye kehna kisi ghazab se kam na laga…
momal ne hina ko buhat appreciate kia
momal: hina aj tumharay liye aik party honi chahiye hai na
hina : nai momal main ye khushi apnay parents k sath celebrate karna chahti hun.
momal : ok as you wish
hina or momal muskra din
momal gher puhanchi to ….
ahmer : q momal aj tmhary function ka kia bana?
momal : u know bhayya meri friend hina us ne pooray college main top kia hai ?
ahmer (kuch yaad kartay huay) : wohi hina jo tmhari kuch arsa phlay friend bani thi .
momal: ji bhayya wohi hai jo middle class family se belong karti hai or us k itnay achay marks aay hain sach main us ne mehnat bhi buhat ki thi or pata hai bhai us ne aj college main sb k samnay ye bhi kaha k us ka baparda libaas main reh ker dunia k sath chalay gi or aj us ne ye baat sach ker dikhai.
The Term Paper on Haier
In this report, it will introduce a famous Chinese electric appliances organization—Haier, which has involved into a giant multinational corporation, revealing that different environmental force, including economic, political, cultural and social and technological factors have had an impact on Haier’s operation and strategies. Besides, the report will also formulate some strategies that expect to ...
ahmer : wao amaizing girl phir to us se mujhay bhi milwao
momal : nai bhayya wo aisi nai hai woh aap se kabhi nai milay gi
ahmer: ohhh chalo koi baat nai
after 2 days
ahmer : momal kia parh rai ho?
momal: kuch nai bhayya bus aik poetry hai.
ahmer : tumhain kab se shairy ka shoq ho gaya?
momal: bhayya dar asal ye poetry main ne nai meri friend hina ne likhi hai.
ahmer : (hairani se) acha lao dikhao hum bhi parhain.
momal us ko kaghaz thama ker khud coffee banany chali gai………….
us ne kaghaz parha or us ka jawab likhnay laga
itnay main momal coffee liye room main enter hoi
momal : oh to aap shairi k mood main hain bhayya per meri friend se nai jeet saktay wo her lamhay ko her pal ko buhat achi tarah samajhti hai
ahmer : han bhhi tumhari friend se acha to likhna mushkil hai but i will just trying
momal ne just muskranay pe hi iktfa kia
next day
hina : ary momal tum b shairi karnay lagi
hina jawabi kaghaz hath main liye hirani se pooch rai thi
momal : tumhain kesi lagi dear!
hina : hmmm waisy iss ka jawab hai mere pas
momal : (sharart se) acha to likho na ……….
gher jatay hi momal ne oonchi awaz main shor dalnay lagi bhayya aap k letter ka jawab aa gaya hai
ahmer : (habraty hoy ) konsa letter ???
momal :(yaad dilatay hoye) bhaya wohi jo kal ap baray pyar se meri friend hina k liye letter likh tha
or letter dikha k ahmer ko tang kr rai thi
ahmer ne sofa se cussion uthaya or momal ko marnay k liye peechay lapka.
uper k kamray se beghum amina apni chaddar lapetti hoi T.V launge main dakhil hoin jahan jang e azeem 3 lagi hoi thi.
beghum aamina : (peshani pe shikan latay hoy) bus kar do sara gher main shor brpa kia hua hai.
or ahmer tum to baray ho na q behan ko tang kar rahay ho
ahmer : mama daikhain na momal mujhay hina kay name chira rai hai
mama : ye hina koun ?
momal : mama bhayya ki….
ahmer ka bus nai chal raha tha k abhi us k hath main jo kuch hay wo momal kay sir main de maray.
momal : mama mera matlab hai meri friend wohi jis ne top kia tha.
The Essay on Haier Hbs Case
Haier was successful in China because their CEO Zhang had a commitment to quality and brand image at time in China where cheap, mass production was the going trend. The Haier brand won awards for quality and commanded a 15% premium compared to other brands even during times of over supply and price wars. Haier discovered that consumer would be willing to pay a premium for a quality product that ...
mama : ooh kia hua usay (mama jaisay 1 minut pehlay wali baat bhol gain)
ahmer ne momal ko ishara kia k mama agar bhol hi gain hain to acha hai aba ye btanay ki zaroorat nai hai k main ne hina ki shairi ka answer dia.
momal : (baat ko samajhtay hoy ahmer ko khatra talnay ka signal dia)
momal : mama ap ko pata hai k hina buhat achi sahiri bhi karti hai.
mama : (daad daitay huye) masha allah kafi kabil larki hai kabhi hamain us se milwana.
momal: ji mama (muskraty huy manzir e aam se hat gai)
hina college mian enter hoi to momal ne us ko invitation dia
momal : hina meri mama tum se milnay ki khwahish ker rai thin tum q na kal hamaray gher shaam ki chaye pe aa jao.
hina : anti ko mera salam daina but tum to janti ho na kay meri maa kabhi bhi friends k gher janay ki ijazat nai daitin.
momal : (samajhtay hoye) hmm but tum to koi b bahana kar k aa sakti ho.
hina : (peshani pe bal latay hoye) momal tum janti ho na k main maa ko dhokha dianay k baray main soch bhi nai sakti.
momal : per main to….. (hina baat kattay huye )
hina : plzz momal
momal : ok dear naraz to na ho na or us ko laad se apni right bazo main le lia
hina muskra di
ahmer jaldi se gher se college janay k liye apni bike start ki thori dair baad us ki bike rush main phans gai darasal ye rush us college k samnay tha jahan her roz chutti k waqt itna rus mamool tha.
yak dam itni fashion able jeanse shirt, skirt main malboos larkiyon main aik sada but attractive or decent larki white shalwar qameez or yellow lamba dupatta pehanay apni kitabain samaittay huye us rash main se guzar rai thi k …
gul ne aa k usay dhakka dia to wo girtay hye bamushkil bachi per us kis books zameen pe gir gain.
ahmer jo ya sara scene daikh raha tha az rahe hamdardi aage barhnay laga per rush ki waja se wo aagay na barh saka usay gul pe buhat ghussa aaya k kitni badtameez larki hai hina apni books khamoshi se utaha rai thi us ki shkal ronay wali hoi thi
hina buhat khamosh or chotay dil ki larki thi wo apni books utha rai thi k aik kaghaz us ki book main se nikal ker neechay gir gaya or hina gher ki taraf chal di
ahmer ne aagay barh k kaghaz utha lia or parhay bghair jaib main daal lia or ahista ahista hina k peechay bike pe janay laga k us ka page us ko wapis ker de….
The Term Paper on Marketing Mix Of China's Haier In The US
Introduction With the process of globalization, many transnational companies have been searching for their target market in other countries all over the world. Through the introduction of successful experiences of china’s Haier in the US market, the article tries to reveal some key elements in marketing strategy. Moreover, the article concentrates on analyzing specific aspects of marketing ...
hina apni dhun main taizi se apnay gher main dakhil ho gai or ahmer bechara peechay usay daikhta reh gaya us ne apni jaib se wo page nikala or parhna shuru ker dia ………
woh heraan ho gaya k………
us page main wohi shairi thi jo us ne hina ki shairi k answer main di thi us ka chehray pe beintha muskrahat aa gai.
ahmer : to yeh wohi larki hai jo momal ki friend hai is k pass ye page (wo soch main par gaya )
ahmer jis kaam k liye ja raha tha wo to reh hi gaya but lagta hai k us ka dil b us larki k pass reh gaya ho. wo kuch lamhay sakat us page ko pakar k yunhi khara muskrata raha.
aglay roz us larki k gher kay samnay woh college time se pehlay hi puhanch gaya or bike pe baitha us ka intazar karnay laga
adhay ghentay bad hina sky blue pajama or open shirt pehnay huye saliqay se sir pe hamesha ki tarah dupatta orhay nazrain jhukay gher se nikli or college ki taraf chal di .
ahmer us k peechay bike pe ahista ahista chalny laga. jab chutti hoi tab bhi wo us k peechay anay laga us ko hina main kuch naya laga q k wo bachpan se hi jis mahool main rehta raha wahan aisa roop or aisi talented larki hona mamool ki baat nai thi .
ahmer ka ye roz ka mamool ban gaya us k peechay ana jana jis ki waja se us ki parhai buhat mutasir hui or mutasir q na hoti wo BBA k last samester ka student tha or parhai main itni laparwahi to nai chalti
hina ko aik din shak hua k koi us ka peecha subh sham karta hai wo buhat ghabrai per apnay aap pe control ker k chalnay lagi ..ahmer ne kai din moka talash kia k wo hina se baat karay per himmat nai juta paya ..
aik din college se chutti per jab wo us k peechay aa raha tha k hina ka paon mura or uski sandel ki stripe tot gai wo larkhara k chalnay lagi. ahmer ko us waqt moka mila to wo us k pas aaya or gala saaf kar k kaha k……
ahmer : oh ap ki to sendal tot gai hai………… aap tension na lain main aap ko gher chor daita hn.
hina ghabra gai or koi b jawab diye bghair aagay barh gai wo peechay se dobara wapis aaya or us ko apnay sath chalnay ko phir kaha (jaisy us pe haq jita raha ho) jis per hina ne ghabra k rona shuru kar dia ahmer buhat preshan hua k us ki waja se koi larki ronay lagi hai.
The Term Paper on Fuck Tha Police: Role Of Hip-Hop In The Los Angeles Riots Of 1992
It is through Gangsta Rap subgenre of Hip-Hop, that the question: “What were the underlying cultural reasons for the Los Angeles Riots of 1992?” can be answered. This paper will examine rap lyrics from prominent Los Angeles Hip-Hop acts in order to investigate the deteriorating rapport between the city’s oft-biased police department and the city’s increasingly restless black urban youth, from the ...
hina : plz aap mujhay tang na karain or mujhay janay dain.(wo samjhi k ahmer us ko tang ker raha hai)
ahmer ne b apni sfai main kuch na kaha. or aik said pe ho gaya
ahmer buhat upset hua k us ko kisi ne pehli bar ghalt samjha . ahmer ne socha k q us ne hina pe haq jitanay ki koshish ki . us ne faisla kia k wo kal hina se maafi mang le ga .
agle din jab hina gher se bahir nikli to us ki nazar ahmer pe pari, wo foot path pe chalnay lagi ahmer us k peechay aaya to us ne ghabra k apni speed taiz kr di
us ne hina ko roka or us se maafi mangi jis pe hina ne koi response nai dia wo mayoos ho k wapis aa gaya or sochnay laga k us ko aj tak kisi ne ghalt nai samjha or jis ne samjha hai wo wohi hai jis se wo pyar karnay laga hai. us ne socha k wo hina ko bta day ga k wo us se pyar karta hai.
hina mamool k mutabiq college ja rai thi k ahmer apni bike pe wahan puhanch gaya or hina ko aik letter dia jisay hina ne recieve nai kia or ghabratay hoye aagay barh gai us ne zabardasti wo kaghaz us k naramo sfaid hath main thama dia or chal dia hina is jurrat pe bol b na saki or ronay lagi.
ahmer : sorry aap bat bat pe roti q hain. please aap ye letter parh lain pleaseee.
ahmer k itnay piyaray lehjay ki waja se wo usay kuch bol b na saki.
or jaldi jaldi chalnay lagi gher wapis aa k wo fresh honay lagi phir wo kagahz bahir nikal k parhny lagi. jis pe sorry likha tha or us ne usay apnay pyar ka yakeen dilaya wo yeh letter parh k yak dam sehm gai or sochnay lagi k wo isay kahan chupaye aglay din jab wo college gai to us ne momal ko us letter k baray main buhat ghussy se btaya momal ye sun k khamoosh ho gai phir thory waqfa k baad boli
momal: wese sacha pyar buhat qismat walon ko milta hai agar tmhain ye behtar lagta hai to plz usay kho mat or ghussay pe kaboo rakh k neutral ho k usa k baray main socho iss k ilawa main or kuch nai keh sakti.
hina ko buhat ghussa tha k wo bjay iss k sath mil k us larkay ko khari khari sunay wo iss bat ko linear le rai hai ….
khair hina uthi or library ki taraf chal di rastay main us ki takkar gul se hoi
hina takar kha k sambhli or sorry bol k taizi se library ki taraf barh gai …
gul us k ghussay or preshani ki mili juli shakal ko hairani se daikh rai thi k achank us ki nazar neechay paray kaghaz pe pari jo takkar khatay waqt hina ki file se gira tha…. gul ne us kaghaz k purzay ko bari tajassus se uthaya or parhnay lagi wo jese jese parhti gai us k honton pe ajeeb si muskrahat aa gai or us ne wo letter apni friends ko bhi parhwaya or dil hi kehnay lagi miss dupatta apni khair mnao .parday main reh k aisay kaam bhi hotay hain wao … or phir ajeeb si muskrahat la k cat walk kartay chali gai.
hina jab ghar gai to buhat preshan thi us ne khana b na khaya or so gai aglay din jab wo yellow color k suit main gher se bahir nikli to us ne daikha k ahmer wahan nai tha wo preshan ho gai or wo ahista ahista sir jhukay chalnay lagi wo mor muri to jaga sunsan thi aram aram se sir jhukay ja rai thi k yak dam us ne sir uthaya to samnay ahmer khara tha us k chehray pe muskrahat aa gai or wo taizi se bhagnay k style main us ki taraf ja rai thi. ahmer buhat khush hua k iss ne mera purposal maan lia. us ne khushi k alam main apna qadam aagay barhaya to achanak moter cycle pe sawar 3 aadmi aaye or usay kidnap karna ki koshish ki . ahmer ne ye daikha to wo taizi se agay barha . jab motor cycle swaron ne ahmer ko agay barhtay daikha to motor cycle ki speed taiz kar di or hina ka dopatta jo unhon ne hath main pakr hua tha phaink dia or chalay gay.
darasal yeh ghunday gul ne bhaijay thay ta k wo badla le sakay . ahmer ne yeh daikha to us ki aankhon main khone utar aaya wo bike walon k peechay bhagnay laga per wo kaafi door chalay gay . hina k to hawas kabu main nai thay or wo bechargi k alam main sir jhukay apnay dupattay ko daikh rai thi jo zameen pe para tha us main himmat khatam ho gai or wo apni jaga pe sakat khari ho gai . aansoo us k halak main phans gay. itnay main koi peechay se aaya or us ka dupatta us k sir pe pyar se rakh dia hina ne us ki taraf daikha us ka chehra us ki bhikri litton k peechay chand ka tukra lag raha tha hina ahmer ko daikh or yak dam us k galay lag k ronay lag gai usay samajh nai aa raha tha k wo kia ker rai hai ahmer ne jab usay aisay daikha to wo bhi presahn ho gaya or us ko apnay mazboot bazo k hisaar main le lia or dosra hath us k sir pe phair k chup kraany laga us ne hina ka chehra apnay kandhay se hataya or apnay dono hathon main le lia jaisay koi phool pakra ho hina bachon ki tarah roti ja rahi thi us ne hina k aansoo saaf kiye or kehnay laga hina plz aap roye mat. main in ghundon k khilaaf police main complain karon ga aaj hi. hina ne apna chehra us k hathon se nikala or us kay hath akar k iltaja ki plzz ap police main ye maamla na le k jain wo pooray muhallay main tafteesh karay gi jis ki waja se jin ko nai b pata un k bhi pata lag jay ga. ahmer mamlay ki nazakat ko samajhtay huye khamoosh ho gaya or sir neechay ker lia hina ka to sir pehlay hi neechay tha . un dono ka sir ahista ahista qareeb ata gaya itnay main aik motor cycle ka horn baja or wo dono yak dam ghabra k idhr udhar daikhnay lagay hina ne apna dupatta thik kia or wahan se bhaag gai .gali kay koonay pe ja kay us ne ansoo saaf ker k aik pal k liye ahmer ko daikha jo aik preshani ki halat main wahan khara tha . or wo bhaag ker college janay ki bajay gher chali gai or apnay bister pe jaa k ulta lait ke ronay lagi or kuch lamha k liye roti chali gai roti chali gai….
usay samajh nai aa raha tha k wo ghundon k sir per se dupatta utarnay pe ro rai hai ya ahmer k galay lag k ronay per. ahmer k galay lag k us main muhabbat ki aik nai kashish mehsoos hui jo usay pehlay kabhi mehsoos nai hui thi.
ahmer apnay kamray ki window main baitha kaafi upset tha k un ghundon ne hina k sath kesa salook kia shukar hai gali sunsan thi warna pata nai kia hota . lekin yak dam us ne apni ankhan band kii. us kay samnay hia ka muskrata hua chehra nazar aaya k wo kis tarah us ki taraf bhaag k aa rai thi or kitni khush thi k yak dam us ka chehra murjha gaya or wo us k galay lag k bilak bilak k ronay lagi us ne yak dam aankhain khol din or ghussay main bhara police station gaya ta k complain likhwa k aaye itnay main usay khayal aaya k wo aik baar phir hina se mashwra ker k police main F.I.R likhwa k aye.
aglay din hina college nai gai. …… dosray din hina college k liye tayyar hui or janay lagi to us kay sath us ka bhai tha. wapsi per hina akeli gher ja rai thi ahmer ko moka mil gaya….
itna main ahmer us k pas bike le k aaya or kaha … k main soch raha tha k hum aik baar un ghundoon k khilaaf police complain kerni chahiye … hina ne kaha main aap e pehlay keh chuki hun k mujhay in jhanjhat main nai arna main akeli police ko kese face karon gi.
main ne to gher main b kuch nai bataya. hina ghabra gai. ahmer ne kaha aap akeli nai hain ” main hun na” hina ne apni kajal se lais aankhain upper uthain or us ki taraf daikha . or phir apnay jazbaat pe kabu rakh k thoray ghussay se kaha ” hum ne aap se kaha hai na k hum complain nai likhwana chahtay.. wese q aatay hain mere rastay main. mujhay aisay logon s nafrat hai jo sara sara din larkion ki taak main baithay rehtay hain . aap hamain q badnaam karna chahtay hain”…
ahmer k dil main ye baat kisi kantay ki tarah chubhi or wo usay daikhta hi reh gaya k hina ne mujhay phir se ghalt samajh lia wo bebas ho gaya or preshani k alam main gher bhi nai gaya or sunsaan road pe chalnay laga us ne apni jacket apnay left shoulder pe rakhi hui thi or khud kisi haare huye musaafir ki tarah chal raha tha . dil amin dukhon ka pahaar tha .
usay iss baat ka afsos tha k jis se wo itna pyar karta hai jis k liye us ne apna aik saal study ka miss ker dia wo us k baray main ye keh rai hai k main usay badnaam kerna chahta hun. us ki aankhon se aansoo jari ho gaye or wo darakht se take laga k baith gaya or preshani main ankhain band kr leen.
itnay main usay isha ki azan sunai di wo apn jaga se utha or thaki thaki tangon k sath masjid main gaya or khuda k huzur gir ker itna roya itna roya k usay aas paas ka hosh hi nai raha saare namazi apnay gharon ko chal diye or wo sajday main gira hua tha or ro ro k khuda se hina ko maang raha tha.
udhar hina apnay gher main nisha ki namaz parh k farigh hui to usay momal ka phone aaya jo buhat ghabrai hui thi . hina k phone recieve karnya pe usay bataya k bhai subh se gher nai aaye un ka cell phone b off ja raha hai..
hina ye sun k preshan ho gai or poocha k kia aap kay bhai ki kisi se larai hui hai..?
momal ne bataya : nai wo kal buhat preshan thay . dar asal meray bhayya jis larki se muhabbat kertay hain. wo un ki muhabbat samajh nai paa rahi or apni dunia main magan reht hai. kal pata us larki k sath kia hua kisi ne us k dupatta utar dia bhayya to un ghundon k khilaaf complain likhwanay ja rahay thay k us ne bhayya ko rok dia.
bhayya us ko kuch keh b na sakay wo itna bilak bilak k ro rai thi k bhayya ne soch lia k main isi larki se shaadi karon ga. kaash wo larki bhi bhayya k pyaar ko samajh jay. aaj to bhayya ne wada kia tha k mujhay wo larki dikhain ge. per bhayya khud gher hi nai aaye…….
aur phoot phoot k ronay lagi
hina apni jaga sakat khari rahi or usay apnay kanon pe yakeen nai aa raha tha
momal: hello hello sun rai ho na hina hina hina
hina : han (ghabraty huye) i am listning.
momal ne phir apni baat shuru ki …….. main buhat preshan hun hina
hina : sab kuch behtar ho ga (or khud siskian bharnay lagi)
momal: kia hua ?????
hina : momal mere sir main shadeed dard hai .
momal : hina tum rest karo… main phone rakhti hun
hina : hmm (phir yak dam chonktay huye) jab tumhara bhai gher aa jay to bta daina
momal us ka thanks kr k phone rakh dia
hina sajdy main gir gai or ronay lagi aaye khuda! ye kia ho gaya mujh se main ne kisi ka dil dukhaya …. main to samjhi thi k wo mujhay tang karnay k liye rastay main khara hota hai per yeh tooooooo…… (kuch soch k dar gai) aye khuda un ki hifazt rakh unhain khairo aafiat se wapis puhancha
wahan ahmer sajday main gira ye dua mang raha tha……. ya allah usay mera naseeb kr day……
ajeeb saman tha……..
akhir thak har kr hina ne jaye namaz band kia or apnay bistar pe aa k late gai ……. neend to us ki aankhon se buhat door thi .
us ne apna mobile 2 , 3 martba uthaya ta k wo momal se ahmer k bare main poochay lekin phir pata nai kia soch k rakh dia ..
itny main momal ka phone aa gaya jisay hina ne pehli bell pe receive kr lia..
momal : tum ab tak jaag rai ho.???
hina : wo mere sir main dard tha (jhoot boltay huye)
momal :wo mujhay ye btana tha k bhayya gher aa gaya hain
hina : (khush hotay hue ) wo aa gay thank God
momal (hairani se) jiiii ….. per un ko buhat taiz bukhar hai .. main abhi unhi k kamray main jaa rai hun medicine dainay…
hina: ohh tum unhain medicine time pe daina..
momal : ok ab main rakhti hun..
hina ne jitni dair ahmer k lotnay ki dua mangi thi utni dair us ne us ki sehatyaabi k liye mangi…
subh 4:00 bajay wo chain ki neend soi …
or college b na ja saki next day weekend tha. momal ne usay phone kia k mujhay apni friend k gher jana hai. tum bhi mere sath chalo .
hina ne kaha nai main nai aa sakti mujhay ammi nai aanay dain gi. darasal hina momal k sath jana hi nai chahti thi lekin momal usay lenay us k gher puhanch gai. hina ki ammi ne darwaza khola or usay ander anay ko kaha . momal ne hina ki ammi se ijazat li k wo hina ko apnay sath le jaye. hina ki ammi thori dair chup ho gain phir ijazat de di . q k aik wohi to hina ki sab se achi dost thi jis per aitbaar kia ja sakta tha.
i will complete it. but plz comment.
they will meat to each other or not?